Tamam Ajnabi Chehre Saje Hain Chaaron Taraf

tamam ajnabi chehre saje hain chaaron taraf

meri bahisht mein kanTe uge hain chaaron taraf

lahu mein Dube hue daere hain chaaron taraf

main kaise jaun kahin hadse hain chaaron taraf

kitab dard ki paDh kar suna rahi hai hayat

aur aansuon ke farishte khaDe hain chaaron taraf

chalo ye KHub hua aaina jo TuT gaya

ab aks mere hi bikhre hue hain chaaron taraf

tera KHayal jab aaya dukhon ke sahra mein

mujhe kuchh aisa laga gul khile hain chaaron taraf

kabhi nadi ke badan par kabhi fazaon mein

hawa ne mere qaside likhe hain chaaron taraf

na meri aankhon mein ninden na KHwab ki pariyan

firaq azal se yahan ratjage hain chaaron taraf

(4067) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamam Ajnabi Chehre Saje Hain Chaaron Taraf In English By Famous Poet Firaq Jalalpuri. Tamam Ajnabi Chehre Saje Hain Chaaron Taraf is written by Firaq Jalalpuri. Read famous Poem Tamam Ajnabi Chehre Saje Hain Chaaron Taraf for youth and Student by Firaq Jalalpuri. Free Download Tamam Ajnabi Chehre Saje Hain Chaaron Taraf in PDF.