Sham-e-ayaadat
ye kaun muskurahaTon ka karwan liye hue
shabab-e-sher-o-rang-o-nur ka dhuan liye hue
dhuan ki barq-e-husn ka mahakta shoala hai koi
chaTili zindagi ki shadmaniyan liye hue
labon se pankhuDi gulab ki hayat mange hai
kanwal si aankh sau nigah-e-mehrban liye hue
qadam qadam pe de uThi hai lau zamin-e-rah-guzar
ada ada mein be-shumar bijliyan liye hue
nikalte baiThte dinon ki aahaTen nigah mein
rasile honT fasl-e-gul ki dastan liye hue
KHutut-e-ruKH mein jalwa-gar wafa ke naqsh sar-ba-sar
dil-e-ghani mein kul hisab-e-dostan liye hue
wo muskuraati aankhen jin mein raqs karti hai bahaar
shafaq ki gul ki bijliyon ki shoKHiyan liye hue
ada-e-husn barq-pash shola-zan nazara-soz
faza-e-husn udi udi bijliyan liye hue
jagane wale naghma-e-sahar labon pe maujzan
nigahen nind lane wali loriyan liye hue
wo nargis-e-siyah-e-nim-baz, mai-kada-ba-dosh
hazar mast raaton ki jawaniyan liye hue
taghaful-o-KHumar aur be-KHudi ki oT mein
nigahen ek jahan ki hoshiyariyan liye hue
hari-bhari ragon mein wo chahakta bolta lahu
wo sochta hua badan KHud ek jahan liye hue
za-farq ta-qadam tamam chehra jism-e-naznin
latif jagmagahaTon ka karwan liye hue
tabassumash takallume takallumash tarannume
nafas nafas mein thartharaata saz-e-jaan liye hue
jabin-e-nur jis pe paD rahi hai narm chhuT si
KHud apni jagmagahTon ki kahkashan liye hue
sitara-bar o mah-chakan o KHur-fishan jamal-e-yar
jahan-e-nur karwan-ba-karwan liye hue
wo zulf-e-KHam-ba-KHam shamim-e-mast se dhuan dhuan
wo ruKH chaman chaman bahaar-e-jawedan liye hue
ba-masti-e-jamal-e-kaenat, KHwab-e-kaenat
ba-gardish-e-nigah daur-e-asman liye hue
ye kaun aa gaya mere qarib uzw uzw mein
jawaniyan, jawaniyon ki aandhiyan liye hue
ye kaun aankh paD rahi hai mujh par itne pyar se
wo bhuli si wo yaad si kahaniyan liye hue
ye kis ki mahki mahki sansen taza kar gain dimagh
shabon ke raaz nur-e-mah ki narmiyan liye hue
ye kin nigahon ne mere gale mein bahen Dal din
jahan bhar ke dukh se dard se aman liye hue
nigah-e-yar de gai mujhe sukun-e-be-karan
wo be-kahi wafaon ki gawahiyan liye hue
mujhe jaga raha hai maut ki ghunudgi se kaun
nigahon mein suhag-raat ka saman liye hue
meri fasurda aur bujhi hui jabin ko chhu liya
ye kis nigah ki kiran ne saz-e-jaan liye hue
sute se chehre par hayat rasmasati muskuraati
na jaane kab ke aansuon ki dastan liye hue
tabassum-e-sahar hai aspatal ki udas sham
ye kaun aa gaya nashat-e-be-karan liye hue
tere na aane tak agarche mehrban tha ek jahan
main ro ke rah gaya hun sau gham-e-nihan liye hue
zamin muskura uThi ye sham jagmaga uThi
bahaar lahlha uThi shamim-e-jaan liye hue
faza-e-aspatal hai ki rang-o-bu ki karwaTen
tere jamal-e-lala-gun ki dastan liye hue
'firaq' aaj pichhli raat kyun na mar rahun ki ab
hayat aisi shamen hogi phir kahan liye hue
(2)
magar nahin kuchh aur maslahat thi us ke aane mein
jamal-o-did-e-yar the naya jahan liye hue
isi nae jahan mein aadmi banenge aadmi
jabin pe shahkar-e-dahr ka nishan liye hue
isi nae jahan mein aadmi banenge dewta
tahaaraton ka farq-e-pak par nishan liye hue
KHudai aadmi ki hogi is nae jahan par
sitaron ke hain dil ye pesh-goiyan liye hue
sulagte dil sharar-fishan o shoala-bar barq-pash
guzarte din hayat-e-nau ki surKHiyan liye hue
tamam qaul aur qasam nigah-e-naz-e-yar thi
tulu-e-zindagi-e-nau ki dastan liye hue
naya janam hua mera ki zindagi nai mili
jiyunga sham-e-did ki nishaniyan liye hue
na dekha aankh uTha ke ahd-e-nau ke parda-daron ne
guzar gaya zamana yaad-e-raftagan liye hue
hum inqilabiyon ne ye jahan bacha liya magar
abhi hai ek jahan wo bad-gumaniyan liye hue
(3)
nae zamane mein agar udas KHud ko paunga
ye sham yaad kar ke apne gham ko bhul jaunga
ayaadat-e-habib se wo aaj zindagi mili
KHushi bhi chaunk chauk uThi gham ki aankh khul gai
agarche doctor ne mujh ko maut se bacha liya
par is ke baad us nigah ne mujhe jila liya
nigah-e-yar tujh se apni manzilen main paunga
tujhe jo bhul jaunga to rah bhul jaunga
(4)
qarib-tar main ho chala hun dukh ki kaenat se
main ajnabi nahin raha hayat se mamat se
wo dukh sahe ki mujh pe khul gaya hai dard-e-kaenat
hai apne aansuon se mujh pe aaina gham-e-hayat
ye be-qusur jaan-dar dard jhelte hue
ye KHak-o-KHun ke putle apni jaan pe khelte hue
wo zist ki karah jis se be-qarar hai faza
wo zindagi ki aah jis se kanp uThti hai faza
kafan hai aansuon ka dukh ki mari kaenat par
hayat kya inhen haqiqaton se hona be-KHabar
jo aankh jagti rahi hai aadmi ki maut par
wo abr-e-rang-rang ko bhi dekhti hai sada-tar
sikha gaya dukh mera purani pir jaanna
nigah-e-yar thi jahan bhi aaj meri rahnuma
yahi nahin ki mujh ko aaj zindagi nai mili
haqiqat-e-hayat mujh pe sau tarah se khul gai
gawah hai ye sham aur nigah-e-yar hai gawah
KHayal-e-maut ko main apne dil mein ab na dunga rah
jiyunga han jiyunga ai nigah-e-ashna-e-yar
sada suhag zindagi hai aur jahan sada-bahaar
(5)
abhi to kitne na-shunida naghma-e-hayat hain
abhi nihan dilon se kitne raaz-e-kaenat hain
abhi to zindagi ke na-chashida ras hain saikDon
abhi to hath mein hum ahl-e-gham ke jas hain saikDon
abhi wo le rahi hain meri shaeri mein karwaTen
abhi chamakne wali hai chhupi hui haqiqaten
abhi to bahr-o-bar pe so rahi hain meri wo sadaen
sameT lun unhen to phir wo kaenat ko jagaen
abhi to ruh ban ke zarre zarre mein samaunga
abhi to subh ban ke main ufuq pe thartharaunga
abhi to meri shaeri haqiqaten luTaegi
abhi meri sada-e-dard ek jahan pe chhaegi
abhi to aadmi asir-e-dam hai ghulam hai
abhi to zindagi sad-inqalab ka payam hai
abhi tamam zaKHm o dagh hai tamaddun-e-jahan
abhi ruKH-e-bashar pe hain bahmiyat ki jhaiyan
abhi mashiyyaton pe fath pa nahin saka bashar
abhi muqaddaron ko bas mein la nahin saka bashar
abhi to is dukhi jahan mein maut hi ka daur hai
abhi to jis ko zindagi kahen wo chiz aur hai
abhi to KHun thokti hai zindagi bahaar mein
abhi to rone ki sada hai naghma-e-sitar mein
abhi to uDti hain ruKH-e-bahaar par hawaiyan
abhi to didani hain har chaman ki be-fazaiyan
abhi faza-e-dahr legi karwaTon pe karwaTen
abhi to soti hain hawaon ki wo sansanahaTen
ki jis ko sunte hi hukumaton ke rang-e-ruKH uDen
chapeTen jin ki sarkashon ki gardanen maroD den
abhi to sina-e-bashar mein sote hain wo zalzale
ki jin ke jagte hi maut ka bhi dil dahal uThe
abhi to batn-e-ghaib mein hai is sawal ka jawab
KHuda-e-KHair-o-shar bhi la nahin saka tha jis ki tab
abhi to god mein hain dewtaon ki wo mah-o-sal
jo denge baDh ke barq-e-tur se hayat ko jalal
abhi rag-e-jahan mein zindagi machalne wali hai
abhi hayat ki nai sharab Dhalne wali hai
abhi chhuri sitam ki Dub kar uchhalne wali hai
abhi to hasrat ek jahan ki nikalne wali hai
abhi ghan-garaj sunai degi inqalab ki
abhi to gosh-bar-sada hai bazm aaftab ki
abhi to punji-wad ko jahan se miTana hai
abhi to samrajon ko saza-e-maut pana hai
abhi to dant pisti hai maut shahryaron ki
abhi to KHun utar raha hai aaankhon mein sitaron ki
abhi to ishtirakiyat ke jhanDe gaDne wale hain
abhi to jaD se kisht-o-KHun ke nazm ukhaDne wale hain
abhi kisan-o-kaamgar raj hone wala hai
abhi bahut jahan mein kaam-kaj hone wala hai
magar abhi to zindagi musibaton ka nam hai
abhi to nind maut ki mere liye haram hai
ye sab payam ek nigah mein wo aankh de gai
ba-yak-nazar kahan kahan mujhe wo aankh le gai
(1875) Peoples Rate This