Zindagi Dard Ki Kahani Hai
zindagi dard ki kahani hai
chashm-e-anjum mein bhi to pani hai
be-niyazana sun liya gham-e-dil
mehrbani hai mehrbani hai
wo bhala meri baat kya mane
us ne apni bhi baat mani hai
shola-e-dil hai ye ki shoala-saz
ya tera shola-e-jawani hai
wo kabhi rang wo kabhi KHushbu
gah gul gah raat-rani hai
ban ke masum sab ko taD gai
aankh us ki baDi siyani hai
aap-biti kaho ki jag-biti
har kahani meri kahani hai
donon aalam hain jis ke zer-e-nagin
dil usi gham ki rajdhani hai
hum to KHush hain teri jafa par bhi
be-sabab teri sargirani hai
sar-ba-sar ye faraaz-e-mahr-o-qamar
teri uThti hui jawani hai
aaj bhi sun rahe hain qissa-e-ishq
go kahani bahut purani hai
zabt kije to dil hai angara
aur agar roiye to pani hai
hai Thikana ye dar hi us ka bhi
dil bhi tera hi aastani hai
un se aise mein jo na ho jae
nau-jawani hai nau-jawani hai
dil mera aur ye gham-e-duniya
kya tere gham ki pasbani hai
gardish-e-chashm-e-saqi-e-dauran
daur-e-aflak ki bhi pani hai
ai lab-e-naz kya hain wo asrar
KHamushi jin ki tarjumani hai
mai-kadon ke bhi hosh uDne lage
kya teri aankh ki jawani hai
KHud-kushi par hai aaj aamada
are duniya baDi diwani hai
koi izhaar-e-na-KHushi bhi nahin
bad-gumani si bad-gumani hai
mujh se kahta tha kal farishta-e-ishq
zindagi hijr ki kahani hai
bahr-e-hasti bhi jis mein kho jae
bund mein bhi wo be-karani hai
mil gae KHak mein tere ushshaq
ye bhi ek amr-e-asmani hai
zindagi intizar hai tera
hum ne ek baat aaj jaani hai
kyun na ho gham se hi qimash us ka
husn taswir-e-shadmani hai
suni duniya mein ab to main hun aur
matam-e-ishq-e-an-jahani hai
kuchh na puchho 'firaq' ahd-e-shabab
raat hai nind hai kahani hai
(1476) Peoples Rate This