Zer-o-bam Se Saz-e-KHilqat Ke Jahan Banta Gaya
zer-o-bam se saz-e-KHilqat ke jahan banta gaya
ye zamin banti gai ye aasman banta gaya
dastan-e-jaur-e-behad KHun se likhta raha
qatra qatra ashk-e-gham ka be-karan banta gaya
ishq-e-tanha se huin aabaad kitni manzilen
ek musafir karwan-dar-karwan banta gaya
main tere jis gham ko apna jaanta tha wo bhi to
zeb-e-unwan-e-hadis-e-digaran banta gaya
baat nikle baat se jaise wo tha tera bayan
nam tera dastan-dar-dastan banta gaya
hum ko hai malum sab rudad-e-ilm-o-falsafa
han har iman-o-yaqin wahm-o-guman banta gaya
main kitab-e-dil mein apna haal-e-gham likhta raha
har waraq ek bab-e-tariKH-e-jahan banta gaya
bas usi ki tarjumani hai mere ashaar mein
jo sukut-e-raaz rangin dastan banta gaya
main ne saunpa tha tujhe ek kaam sari umr mein
wo bigaDta hi gaya ai dil kahan banta gaya
wardat-e-dil ko dil hi mein jagah dete rahe
har hisab-e-gham hisab-e-dostan banta gaya
meri ghuTTi mein paDi thi ho ke hal urdu zaban
jo bhi main kahta gaya husn-e-bayan banta gaya
waqt ke hathon yahan kya kya KHazane luT gae
ek tera gham ki ganj-e-shaigan banta gaya
sar-zamin-e-hind par aqwam-e-alam ke 'firaq'
qafile baste gae hindostan banta gaya
(940) Peoples Rate This