Ye Narm Narm Hawa Jhilmila Rahe Hain Charagh

ye narm narm hawa jhilmila rahe hain charagh

tere KHayal ki KHushbu se bas rahe hain dimagh

dilon ko tere tabassum ki yaad yun aai

ki jagmaga uThen jis tarah mandiron mein charagh

jhalakti hai khinchi shamshir mein nai duniya

hayat o maut ke milte nahin hain aaj dimagh

harif-e-sina-e-majruh o aatish-e-gham-e-ishq

na gul ki chaak-garebaniyan na lale ke dagh

wo jin ke haal mein lau de uThe gham-e-farda

wahi hain anjuman-e-zindagi ke chashm-o-charag

tamam shola-e-gul hai tamam mauj-e-bahaar

ki ta-had-e-nigah-e-shauq lahlahate hain bagh

nai zamin naya aasman nai duniya

suna to hai ki mohabbat ko in dinon hai faragh

jo tohmaten na uThin ek jahan se un ke samet

gunahgar-e-mohabbat nikal gae be-dagh

jo chhup ke taron ki aankhon se panw dharta hai

usi ke naqsh-e-kaf-e-pa se jal uThe hain charagh

jahan-e-raaz hui ja rahi hai aankh teri

kuchh is tarah wo dilon ka laga rahi hai suragh

zamana kud paDa aag mein yahi kah kar

ki KHun chaT ke ho jaegi ye aag bhi bagh

nigahen matla-e-nau par hain ek aalam ki

ki mil raha hai kisi phuTti kiran ka suragh

dilon mein dagh-e-mohabbat ka ab ye aalam hai

ki jaise nind mein Dube hon pichhli raat charagh

'firaq' bazm-e-charaghan hai mahfil-e-rindan

saje hain pighli hui aag se chhalakte ayagh

(1036) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Narm Narm Hawa Jhilmila Rahe Hain Charagh In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Ye Narm Narm Hawa Jhilmila Rahe Hain Charagh is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Ye Narm Narm Hawa Jhilmila Rahe Hain Charagh for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Ye Narm Narm Hawa Jhilmila Rahe Hain Charagh in PDF.