Ye Maut-o-adam Kaun-o-makan Aur Hi Kuchh Hai
ye maut-o-adam kaun-o-makan aur hi kuchh hai
sun le ki mera nam-o-nishan aur hi kuchh hai
itna to yaqin hai ki wahi hain teri aankhen
is par bhi magar wahm-o-guman aur hi kuchh hai
shoalon mein wo andaz kahan soz-e-nihan ke
uThta hai jo dil se wo dhuan aur hi kuchh hai
ek kaifiyat-e-raaz hai gham hai na masarrat
is bazm-e-mohabbat mein saman aur hi kuchh hai
jo marhala-e-qurbat-o-duri se guzar jae
sunte hain ki wo jazb-e-nihan aur hi kuchh hai
ya dard ke naghmon mein wahi hai teri aawaz
ya parda-e-saz-e-rag-e-jaan aur hi kuchh hai
ye nind ka jhonka to nahin be-KHudi-e-ishq
hoshyar ki wo KHwab-e-giran aur hi kuchh hai
ab maut bhi hai gard-rah-e-kucha-e-jaanan
un manzilon mein umr-e-rawan aur hi kuchh hai
achchhe hain jahan hain magar ai daman-e-jaanan
pate hain jo tujh mein wo aman aur hi kuchh hai
bijli ke chamakne mein kahan ishq ki garmi
wo shola-e-larzan-o-tapan aur hi kuchh hai
jo zaKHm khila de jo mera rang uDa de
wo fasl-e-gul o fasl-e-KHizan aur hi kuchh hai
ek KHwab-e-parishan se hain is daur ke aasar
hoshyar ki ab rang-e-jahan aur hi kuchh hai
ek chiz hai nairangi-e-rudad-e-mohabbat
lekin ba-hadis-e-digaran aur hi kuchh hai
shair hain 'firaq' aur bhi is daur mein lekin
ye rang-e-bayan rang-e-zaban aur hi kuchh hai
(895) Peoples Rate This