Wo Chup-chap Aansu Bahane Ki Raaten
wo chup-chap aansu bahane ki raaten
wo ek shaKHs ke yaad aane ki raaten
shab-e-mah ki wo ThanDi aanchen wo shabnam
tere husn ke rasmasane ki raaten
jawani ki doshizgi ka tabassum
gul-e-zar ke wo khilane ki raaten
phuwaren si naghmon ki paDti hon jaise
kuchh us lab ke sunne-sunane ki raaten
mujhe yaad hai teri har subh-e-ruKHsat
mujhe yaad hain tere aane ki raaten
pur-asrar si meri arz-e-tamanna
wo kuchh zer-e-lab muskurane ki raaten
sar-e-sham se ratjaga ke wo saman
wo pichhle pahar nind aane ki raaten
sar-e-sham se ta-sahar qurb-e-jaanan
na jaane wo thin kis zamane ki raaten
sar-e-mai-kada tishnagi ki wo qasmen
wo saqi se baaten banane ki raaten
ham-aghoshiyan shahid-e-mehrban ki
zamane ke gham bhul jaane ki raaten
'firaq' apni qismat mein shayad nahin the
Thikane ke din ya Thikane ki raaten
(1647) Peoples Rate This