Tez Ehsas-e-KHudi Darkar Hai

tez ehsas-e-KHudi darkar hai

zindagi ko zindagi darkar hai

jo chaDha jae KHumistan-e-jahan

han wahi lab-tishnagi darkar hai

dewtaon ka KHuda se hoga kaam

aadmi ko aadmi darkar hai

sau gulistan jis udasi par nisar

mujh ko wo afsurdagi darkar hai

shaeri hai sar-basar tahzib-e-qalb

us ko gham shaistagi darkar hai

shoala mein lata hai jo soz-o-gudaz

wo KHulus-e-baatni darkar hai

KHubi-e-lafz-o-bayan se kuchh siwa

shaeri ko sahiri darkar hai

qadir-e-mutlaq ko bhi insan ki

sunte hain be-chaargi darkar hai

aur honge talib-e-madh-e-jahan

mujh ko bas teri KHushi darkar hai

aql mein yun to nahin koi kami

ek zara diwangi darkar hai

hosh walon ko bhi meri rae mein

ek guna be-KHudi darkar hai

KHatra-e-bisyar-dani ki qasam

ilm mein bhi kuchh kami darkar hai

dosto kafi nahin chashm-e-KHirad

ishq ko bhi raushni darkar hai

meri ghazlon mein haqaeq hain faqat

aap ko to shaeri darkar hai

tere pas aaya hun kahne ek baat

mujh ko teri dosti darkar hai

main jafaon ka na karta yun gila

aaj teri na-KHushi darkar hai

us ki zulf aarasta-pairasta

ek zara si barhami darkar hai

zinda-dil tha taza-dam tha hijr mein

aaj mujh ko be-dili darkar hai

halqa halqa gesu-e-shab rang-e-yar

mujh ko teri abtari darkar hai

aql ne kal mere kanon mein kaha

mujh ko teri zindagi darkar hai

tez-rau tahzib-e-alam ko 'firaq'

ek zara aahistagi darkar hai

(1106) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tez Ehsas-e-KHudi Darkar Hai In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Tez Ehsas-e-KHudi Darkar Hai is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Tez Ehsas-e-KHudi Darkar Hai for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Tez Ehsas-e-KHudi Darkar Hai in PDF.