Sitaron Se Ulajhta Ja Raha Hun

sitaron se ulajhta ja raha hun

shab-e-furqat bahut ghabra raha hun

tere gham ko bhi kuchh bahla raha hun

jahan ko bhi samajhta ja raha hun

yaqin ye hai haqiqat khul rahi hai

guman ye hai ki dhoke kha raha hun

agar mumkin ho le le apni aahaT

KHabar do husn ko main aa raha hun

haden husn-o-mohabbat ki mila kar

qayamat par qayamat Dha raha hun

KHabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat

tere hathon mein luTta ja raha hun

asar bhi le raha hun teri chup ka

tujhe qail bhi karta ja raha hun

bharam tere sitam ka khul chuka hai

main tujh se aaj kyun sharma raha hun

unhin mein raaz hain gul-bariyon ke

main jo chingariyan barsa raha hun

jo un masum aankhon ne diye the

wo dhoke aaj tak main kha raha hun

tere pahlu mein kyun hota hai mahsus

ki tujh se dur hota ja raha hun

had-e-jor-o-karam se baDh chala husn

nigah-e-yar ko yaad aa raha hun

jo uljhi thi kabhi aadam ke hathon

wo gutthi aaj tak suljha raha hun

mohabbat ab mohabbat ho chali hai

tujhe kuchh bhulta sa ja raha hun

ajal bhi jin ko sun kar jhumti hai

wo naghme zindagi ke ga raha hun

ye sannaTa hai mere panw ki chap

'firaq' apni kuchh aahaT pa raha hun

(1290) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitaron Se Ulajhta Ja Raha Hun In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Sitaron Se Ulajhta Ja Raha Hun is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Sitaron Se Ulajhta Ja Raha Hun for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Sitaron Se Ulajhta Ja Raha Hun in PDF.