Sham-e-gham Kuchh Us Nigah-e-naz Ki Baaten Karo
sham-e-gham kuchh us nigah-e-naz ki baaten karo
be-KHudi baDhti chali hai raaz ki baaten karo
ye sukut-e-naz ye dil ki ragon ka TuTna
KHamushi mein kuchh shikast-e-saz ki baaten karo
nikhat-e-zulf-e-pareshan dastan-e-sham-e-gham
subh hone tak isi andaz ki baaten karo
har rag-e-dil wajd mein aati rahe dukhti rahe
yunhi us ke ja-o-beja naz ki baaten karo
jau adam ki jaan hai jo hai payam-e-zindagi
us sukut-e-raaz us aawaz ki baaten karo
ishq ruswa ho chala be-kaif sa bezar sa
aaj us ki nargas-e-ghammaz ki baaten karo
nam bhi lena hai jis ka ek jahan-e-rang-o-bu
dosto us nau-bahaar-e-naz ki baaten karo
kis liye uzr-e-taghaful kis liye ilzam-e-ishq
aaj charKH-e-tafraqa-parwaz ki baaten karo
kuchh qafas ki tiliyon se chhan raha hai nur sa
kuchh faza kuchh hasrat-e-parwaz ki baaten karo
jo hayat-e-jawidan hai jo hai marg-e-na-gahan
aaj kuchh us naz us andaz ki baaten karo
ishq-e-be-parwa bhi ab kuchh na-shakeba ho chala
shoKHi-e-husn-e-karishma-saz ki baaten karo
jis ki furqat ne palaT di ishq ki kaya 'firaq'
aaj us isa-nafas dam-saz ki baaten karo
(2625) Peoples Rate This