Rasm-o-rah-e-dahr Kya Josh-e-mohabbat Bhi To Ho
rasm-o-rah-e-dahr kya josh-e-mohabbat bhi to ho
TuT jati hai har ek zanjir wahshat bhi to ho
zindagi kya maut kya do karwaTen hain ishq ki
sone wale chaunk uTThenge qayamat bhi to ho
harche baada-baad ke naron se duniya kanp uThi
ishq ke itna koi bargashta qismat bhi to ho
kar-zar-e-dahr mein har kaif har masti baja
kuchh sharik-e-be-KHudi rindana-e-jurat bhi to ho
kam nahin ahl-e-hawas ki bhi KHayal-araiyan
ye fana ki had se bhi baDh jaen himmat bhi to ho
kuchh ishaaraat-e-nihan hon to nigah-e-naz ke
bhanp lenge hum ye mahfil rashk-e-KHalwat bhi to ho
ab to kuchh ahl-e-raza bhi ho chale mayus se
har jafa-e-na-rawa ki kuchh nihayat bhi to ho
har nafas se aae bu-e-atish-e-sayyal-e-ishq
aag wo dil mein lahu mein wo hararat bhi to ho
ye tere jalwe ye chashm-e-shauq ki hairaniyan
barq-e-husn-e-yar nazzare ki fursat bhi to ho
gardish-e-dauran mein ek din aa rahega hosh bhi
KHatm ai chashm-e-siyah ye daur-e-ghaflat bhi to ho
har dil-afsurda se chingariyan uD jaengi
kuchh teri masum aankhon mein shararat bhi to ho
ab wo itna bhi nahin begana-e-wajh-e-malal
pursish-e-gham us ko aati hai zarurat bhi to ho
ek si hain ab to husn-o-ishq ki majburiyan
hum hon ya tum ho wo ahd-e-ba-faraghat bhi to ho
dekh kar rang-e-mizaj-e-yar kya kahiye 'firaq'
is mein kuchh gunjaish-e-shukr-o-shikayat bhi to ho
(864) Peoples Rate This