Raat Bhi Nind Bhi Kahani Bhi
raat bhi nind bhi kahani bhi
hae kya chiz hai jawani bhi
ek paigham-e-zindagani bhi
aashiqi marg-e-na-gahani bhi
is ada ka teri jawab nahin
mehrbani bhi sargirani bhi
dil ko apne bhi gham the duniya mein
kuchh balaen thin aasmani bhi
mansab-e-dil KHushi luTana hai
gham-e-pinhan ki pasbani bhi
dil ko shoalon se karti hai sairab
zindagi aag bhi hai pani bhi
shad-kaamon ko ye nahin taufiq
dil-e-gham-ghin ki shadmani bhi
lakh husn-e-yaqin se baDh kar hai
un nigahon ki bad-gumani bhi
tangna-e-dil-e-malul mein hai
bahr-e-hasti ki be-karani bhi
ishq-e-nakaam ki hai parchhain
shadmani bhi kaamrani bhi
dekh dil ke nigar-KHane mein
zaKHm-e-pinhan ki hai nishani bhi
KHalq kya kya mujhe nahin kahti
kuchh sunun main teri zabani bhi
aae tariKH-e-ishq mein sau bar
maut ke daur-e-darmiyani bhi
apni masumiyat ke parde mein
ho gai wo nazar siyani bhi
din ko suraj-mukhi hai wo nau-gul
raat ko hai wo raat-rani bhi
dil-e-bad-nam tere bare mein
log kahte hain ek kahani bhi
waza karte koi nai duniya
ki ye duniya hui purani bhi
dil ko aadab-e-bandagi bhi na aae
kar gae log hukmarani bhi
jaur-e-kam-kam ka shukriya bas hai
aap ki itni mehrbani bhi
dil mein ek huk bhi uThi ai dost
yaad aai teri jawani bhi
sar se pa tak supurdagi ki ada
ek andaz-e-turkamani bhi
pas rahna kisi ka raat ki raat
mehmani bhi mezbani bhi
ho na aks-e-jabin-e-naz ki hai
dil mein ek nur-e-kahkashani bhi
zindagi ain did-e-yar 'firaq'
zindagi hijr ki kahani bhi
(986) Peoples Rate This