Mujhko Mara Hai Har Ek Dard O Dawa Se Pahle
mujh ko mara hai har ek dard o dawa se pahle
di saza ishq ne har jurm-o-KHata se pahle
aatish-e-ishq bhaDakti hai hawa se pahle
honT julte hain mohabbat mein dua se pahle
fitne barpa hue har ghuncha-e-sar-basta se
khul gaya raaz-e-chaman chaak-e-qaba se pahle
chaal hai baada-e-hasti ka chhalakta hua jam
hum kahan the tere naqsh-e-kaf-e-pa se pahle
ab kami kya hai tere be-sar-o-samanon ko
kuchh na tha teri qasam tark-e-wafa se pahle
ishq-e-bebak ko dawe the bahut KHalwat mein
kho diya sara bharam sharm-o-haya se pahle
KHud-baKHud chaak hue pairahan-e-lala-o-gul
chal gai kaun hawa baad-e-saba se pahle
ham-safar rah-e-adam mein na ho taron-bhari raat
hum pahunch jaenge is aabla-pa se pahle
parda-e-sharm mein sad-barq-e-tabassum ke nisar
hosh jate rahe nairang-e-haya se pahle
maut ke nam se Darte the hum ai shauq-e-hayat
tu ne to mar hi Dala tha qaza se pahle
be-takalluf bhi tera husn-e-KHud-ara tha kabhi
ek ada aur bhi thi husn-e-ada se pahle
ghaflaten hasti-e-fani ki bata dengi tujhe
jo mera haal tha ehsas-e-fana se pahle
hum unhen pa ke 'firaq' aur bhi kuchh khoe gae
ye takalluf to na the ahd-e-wafa se pahle
(1136) Peoples Rate This