Kuchh Na Kuchh Ishq Ki Tasir Ka Iqrar To Hai

kuchh na kuchh ishq ki tasir ka iqrar to hai

us ka ilzam-e-taghaful pe kuchh inkar to hai

har fareb-e-gham-e-duniya se KHabar-dar to hai

tera diwana kisi kaam mein hushyar to hai

dekh lete hain sabhi kuchh tere mushtaq-e-jamal

KHair didar na ho hasrat-e-didar to hai

marke sar hon usi barq-e-nazar se ai husn

ye chamakti hui chalti hui talwar to hai

sar paTakne ko paTakta hai magar ruk ruk kar

tere wahshi ko KHayal-e-dar-o-diwar to hai

ishq ka shikwa-e-beja bhi na bekar gaya

na sahi jaur magar jaur ka iqrar to hai

tujh se himmat to paDi ishq ko kuchh kahne ki

KHair shikwa na sahi shukr ka izhaar to hai

is mein bhi rabta-e-KHas ki milti hai jhalak

KHair iqrar-e-mohabbat na ho inkar to hai

kyun jhapak jati hai rah rah ke teri barq-e-nigah

ye jhijak kis liye ek kushta-e-didar to hai

kai unwan hain mamnun-e-karam karne ke

ishq mein kuchh na sahi zindagi be-kar to hai

sahar-o-sham sar-e-anjuman-e-naz na ho

jalwa-e-husn to hai ishq-e-siyahkar to hai

chaunk uThte hain 'firaq' aate hi us shoKH ka nam

kuchh sarasimgi-e-ishq ka iqrar to hai

(892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Na Kuchh Ishq Ki Tasir Ka Iqrar To Hai In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Kuchh Na Kuchh Ishq Ki Tasir Ka Iqrar To Hai is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Kuchh Na Kuchh Ishq Ki Tasir Ka Iqrar To Hai for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Kuchh Na Kuchh Ishq Ki Tasir Ka Iqrar To Hai in PDF.