Kuchh Ishaare The Jinhen Duniya Samajh BaiThe The Hum
kuchh ishaare the jinhen duniya samajh baiThe the hum
us nigah-e-ashna ko kya samajh baiThe the hum
rafta rafta ghair apni hi nazar mein ho gae
wah-ri ghaflat tujhe apna samajh baiThe the hum
hosh ki taufiq bhi kab ahl-e-dil ko ho saki
ishq mein apne ko diwana samajh baiThe the hum
parda-e-azurdagi mein thi wo jaan-e-iltifat
jis ada ko ranjish-e-beja samajh baiThe the hum
kya kahen ulfat mein raaz-e-be-hisi kyunkar khula
har nazar ko teri dard-afza samajh baiThe the hum
be-niyazi ko teri paya sarasar soz o dard
tujh ko ek duniya se begana samajh baiThe the hum
inqalab-e-pai-ba-pai har gardish o har daur mein
is zamin o aasman ko kya samajh baiThe the hum
bhul baiThi wo nigah-e-naz ahd-e-dosti
us ko bhi apni tabiat ka samajh baiThe the hum
saf alag hum ko junun-e-ashqi ne kar diya
KHud ko tere dard ka parda samajh baiThe the hum
kan bajte hain mohabbat ke sukut-e-naz ko
dastan ka KHatm ho jaana samajh baiThe the hum
baaton baaton mein payam-e-marg bhi aa hi gaya
un nigahon ko hayat-afza samajh baiThe the hum
ab nahin tab-e-sipas-e-husn is dil ko jise
be-qrar-e-shikwa-e-beja samajh baiThe the hum
ek duniya dard ki taswir nikli ishq ko
koh-kan aur qais ka qissa samajh baiThe the hum
rafta rafta ishq manus-e-jahan hota chala
KHud ko tere hijr mein tanha samajh baiThe the hum
husn ko ek husn hi samjhe nahin aur ai 'firaq'
mehrban na-mehrban kya kya samajh baiThe the hum
(1426) Peoples Rate This