Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d9cf4aa6acdf31d54a83685a2e5037b8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Koi Paigham-e-mohabbat Lab-e-ejaz To De - Firaq Gorakhpuri Poetry In English - Darsaal

Koi Paigham-e-mohabbat Lab-e-ejaz To De

koi paigham-e-mohabbat lab-e-ejaz to de

maut ki aankh bhi khul jaegi aawaz to de

maqsad-e-ishq ham-ahangi-e-juzw-o-kul hai

dard hi dard sahi dil bu-e-dam-saz to de

chashm-e-maKHmur ke unwan-e-nazar kuchh to khulen

dil-e-ranjur dhaDakne ka kuchh andaz to de

ek zara ho nasha-e-husn mein andaz-e-KHumar

ek jhalak ishq ke anjam ki aaghaz to de

jo chhupae na chhupe aur batae na bane

dil-e-ashiq ko in aankhon se koi raaz to de

muntazir itni kabhi thi na faza-e-afaq

chheDne hi ko hun pur-dard ghazal saz to de

hum asiran-e-qafas aag laga sakte hain

fursat-e-naghma kabhi hasrat-e-parwaz to de

ishq ek bar mashiyyat ko badal sakta hai

indiya apna magar kuchh nigah-e-naz to de

qurb o didar to malum kisi ka phir bhi

kuchh pata sa falak-e-tafraqa-pardaz to de

manzilen gard ki manind uDi jati hain

ablaq-e-dahr kuchh andaz-e-tag-o-taz to de

kan se hum to 'firaq' aankh ka lete hain kaam

aaj chhup kar koi aawaz par aawaz to de

(3297) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Paigham-e-mohabbat Lab-e-ejaz To De In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Koi Paigham-e-mohabbat Lab-e-ejaz To De is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Koi Paigham-e-mohabbat Lab-e-ejaz To De for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Koi Paigham-e-mohabbat Lab-e-ejaz To De in PDF.