Kami Na Ki Tere Wahshi Ne KHak UDane Mein
kami na ki tere wahshi ne KHak uDane mein
junun ka nam uchhalta raha zamane mein
'firaq' dauD gai ruh si zamane mein
kahan ka dard bhara tha mere fasane mein
junun se bhul hui dil pe choT khane mein
'firaq' der abhi thi bahaar aane mein
wo koi rang hai jo uD na jae ai gul-e-tar
wo koi bo hai jo ruswa na ho zamane mein
wo aastin hai koi jo lahu na de nikle
wo koi hasan hai jhijhke jo rang lane mein
ye gul khile hain ki choTen jigar ki ubhri hain
nihan bahaar thi bulbul tere tarane mein
byan shama hai hasil yahi hai jalne ka
fana ki kaifiyaten dekh jhilmilane mein
kasi ki haalat-e-dil sun ke uTh gain aankhen
ki jaan paD gai hasrat bhare fasane mein
usi ki sharh hai ye uThte dard ka aalam
jo dastan thi nihan tere aankh uThane mein
wo koi rang hai jo uD na jae ai gul-e-tar
wo koi bu hai jo ruswa na ho zamane mein
bayan-e-shama hai hasil yahi hai jalne ka
fana ki kaifiyaten dekh jhilmilane mein
gharaz ki kaT diye zindagi ke din ai dost
wo teri yaad mein hon ya tujhe bhulane mein
hamin hain gul hamin bulbul hamin hawa-e-chaman
'firaq' KHwab ye dekha hai qaid-KHane mein
(939) Peoples Rate This