Junun-e-kargar Hai Aur Main Hun
junun-e-kargar hai aur main hun
hayat-e-be-KHabar hai aur main hun
miTa kar dil nigah-e-awwalin se
taqaza-e-digar hai aur main hun
kahan main aa gaya ai zor-e-parwaz
wabaal-e-baal-o-par hai aur main hun
nigah-e-awwalin se ho ke barbaad
taqaza-e-digar hai aur main hun
mubarakbaad ayyam-e-asiri
gham-e-diwar-o-dar hai aur main hun
teri jamiyyaten hain aur tu hai
hayat-e-muntashar hai aur main hun
koi ho sust-paiman bhi to yun ho
ye sham-e-be-sahar hai aur main hun
nigah-e-be-mahaba tere sadqe
kai TukDe jigar hai aur main hun
Thikana hai kuchh is uzr-e-sitam ka
teri nichi nazar hai aur main hun
'firaq' ek ek hasrat miT rahi hai
ye matam raat bhar hai aur main hun
(822) Peoples Rate This