Jise Log Kahte Hain Tirgi Wahi Shab Hijab-e-sahar Bhi Hai
jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai
jinhen be-KHudi-e-fana mili unhen zindagi ki KHabar bhi hai
tere ahl-e-did ko dekh ke kabhi khul saka hai ye raaz bhi
unhen jis ne ahl-e-nazar kiya wo tera KHarab-e-nazar bhi hai
ye visal-o-hijr ki bahs kya ki ajib chiz hai ishq bhi
tujhe pa ke hai wahi dard-e-dil wahi rang-e-zaKHm-e-jigar bhi hai
ye nasib-e-ishq ki gardishen ki zaman makan se guzar ke bhi
wahi aasman wahi sham-e-gham wahi sham-e-gham ki sahar bhi hai
tere kaif-e-husn ki jaan hai meri be-dili-o-fasurdagi
jise kahte hain gham-e-raegan wo liye hue kuchh asar bhi hai
na raha hayat ki manzilon mein wo farq-e-naz-o-niyaz bhi
ki jahan hai ishq barahna-pa wahin husn KHak-basar bhi hai
wo gham-e-firaq bhi kaT gaya wo malal ishq bhi miT gaya
magar aaj bhi tere hath mein wahi aastin hai ki tar bhi hai
dam-e-hashr azal ki bhi yaad kar ye zaban kya ye nigah kya
jo kisi se aaj na ho saka wo sawal bar-e-digar bhi hai
jo visal-o-hijr se dur hai jo karam sitam se hai be-KHabar
kuchh uTha hua hai wo dard bhi kuchh uThi hui wo nazar bhi hai
ye pata hai us ki inayaton ne KHarab kitnon ko kar diya
ye KHabar hai nargis-e-nim-wa ki girah mein fitna-e-shar bhi hai
usi sham-e-marg ki tirgi mein hain jalwa-ha-e-hayat bhi
unhin zulmaton ke hijab mein ye chamak ye raqs-e-sharar bhi hai
wahi dard bhi hai dawa bhi hai wahi maut bhi hai hayat bhi
wahi ishq nawak-e-naz hai wahi ishq sina-sipar bhi hai
tu zaman makan se guzar bhi ja tu rah-e-adam ko bhi kaT le
wo sawab ho ki azab ho kahin zindagi se mafar bhi hai
jo gale tak aa ke aTak gaya jise talKH-kaam na pi sake
wo lahu ka ghunT utar gaya to suna hai shir-o-shakar bhi hai
koi ahl-e-dil ko kami nahin magar ahl-e-dil ka ye qaul hai
abhi maut bhi nahin mil saki abhi zindagi mein kasar bhi hai
baDi chiz daulat-o-jah hai baDi wusaten hain nasib use
magar ahl-e-daulat-o-jah mein kahin aadmi ka guzar bhi hai
ye shab-e-daraaz bhi kaT gai wo sitare Dube wo pau phaTi
sar-e-rah ghaflat-e-KHwab se ab uTho ki waqt-e-sahar bhi hai
jo ulaT chuke hain bisat-e-dahr ko agle waqton mein barha
wahi aaj gardish-e-baKHt hai wahi rang-e-daur-e-qamar bhi hai
na gham-e-azab-o-sawab se kabhi chheD fitrat-e-ishq ko
jo azal se mast-nigah hai use nek-o-bad ki KHabar bhi hai
wo tamam shukr-o-raza sahi wo tamam sabr-o-sukun sahi
tu hai jis se mail-e-imtihan wo farishta hai to bashar bhi hai
na kaho taghaful-e-husn se koi kar-sazi-e-gham kare
ki jo aaj gham se nikal gai wo dua KHarab asar bhi hai
tere gham ki umr-e-daraaz mein kai inqalab hue magar
wahi tul-e-sham-e-'firaq' hai wahi intizar-e-sahar bhi hai
(967) Peoples Rate This