Jin Ki Zindagi Daman Tak Hai Bechaare Farzane Hain
jin ki zindagi daman tak hai bechaare farzane hain
KHak uDate phirte hain jo diwane diwane hain
wahdat-e-insan apne ko shair se manwa leti hai
kya anjaane kya begane sab jaane-pahchane hain
mujh ko shair kahne walo main kya meri ghazlen kya
main ne to bas sarkar-e-ishq mein kuchh parche guzrane hain
bhole-bhaale mahbubon se danw-pech kuchh chal na saka
hum ye samajhte rahe abhi tak hum bhi kitne siyane hain
hosh-o-KHirad kya josh-e-junun kya ulTi ganga bahti hai
kya farzane kaise siyane yaro sab diwane hain
jal-bujhne ki bhi taufiq kahan ushshaq ki qismat mein
ek an-dekhi sham-e-bazm ke dil wale parwane hain
shair se hamdardi sikho duniya ke gham-KHane mein
jitne gham hain duniya bhar mein is ke mane-jaane hain
shahr-e-nigaran shahr-e-nigaran kaun batae kaisa hai
puchhte ho kya hum se yaro hum bhi to begane hain
bas wo unhi se fitrat ko KHalon ke libas pahnata hai
shair ke palle kya hai giton ke tane-bane hain
kitne begane hote hain ye jaane-pahchane log
jaane hue bhi ba-qaul hamare anjaane begane hain
aaj se pahle kab the watan mein be-watani ke ye lachchhan
logon ko ye kahte suna hai ghar bhi ghurbat-KHane hain
kuchh nahin khulta kis ki zad mein ye hasti-e-gurezan hai
hum jo itne bache phirte hain kin tiron ke nishane hain
is gum-karda-e-dida-o-dil ko kal tak kitne jaante the
ab to 'firaq'-e-be-KHud ke aalam aalam afsane hain
(978) Peoples Rate This