Ishq Ki Mayusiyon Mein Soz-e-pinhan Kuchh Nahin
ishq ki mayusiyon mein soz-e-pinhan kuchh nahin
is hawa mein ye charagh-e-zer-e-daman kuchh nahin
kya hai dekho hasrat-e-sair-e-gulistan kuchh nahin
kuchh nahin ai sakinan-e-kunj-e-zindan kuchh nahin
ishq ki hai KHud-numai ishq ki aashuftagi
ru-e-taban kuchh nahin zulf-e-pareshan kuchh nahin
yaad aa hi jati hai aksar dil-e-barbaad ki
yun to sach hai chand zarraat-e-pareshan kuchh nahin
sach hai jo kuchh bhi hai wo hai garmi-e-bazar-e-husn
ahl-e-dil ka soz-e-pinhan kuchh nahin han kuchh nahin
aur un ki zindagi hai aur unwan-e-hayat
KHud-faramoshon ko tere ahd-o-paiman kuchh nahin
ek ho jae na jab tak sarhad-e-hosh-o-junun
ek ho kar chaak-e-daman-o-gareban kuchh nahin
jo na ho jae wo kam hai jo bhi ho jae bahut
kar-zar-e-ishq mein dushwar-o-asan kuchh nahin
dekhni thi dekh li is chheD ki bhi sadgi
be-dilon mein ye tabassum-ha-e-pinhan kuchh nahin
kash apne dard se betab hote ai 'firaq'
dusre ke hathon ye haal-e-pareshan kuchh nahin
(1178) Peoples Rate This