Ho Ke Sar-ta-ba-qadam Aalam-e-asrar Chala

ho ke sar-ta-ba-qadam aalam-e-asrar chala

jo chala mai-kada-e-ishq se sarshaar chala

hamrah-e-husn ek amboh-e-KHaridar chala

sath is jins ke bazar ka bazar chala

na hua rah-e-mohabbat mein koi ohda-bara

jo subuk-dosh hua wo bhi giran-bar chala

un ka jo haal ki pahle tha wahi haal raha

tere gham-kushton se iqrar na inkar chala

aasman ho ki qayamat ho ki ho tir-e-qaza

chaal us fitna-e-dauran se har ek bar chala

zauq-e-nazzara usi ka hai jahan mein tujh ko

dekh kar bhi jo liye hasrat-e-didar chala

husn-e-kafir se kisi ki na gai pesh 'firaq'

shikwa yaron ka na shukrana-e-aghyar chala

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ho Ke Sar-ta-ba-qadam Aalam-e-asrar Chala In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Ho Ke Sar-ta-ba-qadam Aalam-e-asrar Chala is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Ho Ke Sar-ta-ba-qadam Aalam-e-asrar Chala for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Ho Ke Sar-ta-ba-qadam Aalam-e-asrar Chala in PDF.