Firaq Ek Nai Surat Nikal To Sakti Hai
'firaq' ek nai surat nikal to sakti hai
ba-qaul us aankh ke duniya badal to sakti hai
tere KHayal ko kuchh chup si lag gai warna
kahaniyon se shab-e-gham bahal to sakti hai
urus-e-dahr chale kha ke Thokaren lekin
qadam qadam pe jawani ubal to sakti hai
palaT paDe na kahin us nigah ka jadu
ki Dub kar ye chhuri kuchh uchhal to sakti hai
bujhe hue nahin itne bujhe hue dil bhi
fasurdagi mein tabiat machal to sakti hai
agar tu chahe to gham wale shadman ho jaen
nigah-e-yar ye hasrat nikal to sakti hai
ab itni band nahin gham-kadon ki bhi rahen
hawa-e-kucha-e-mahbub chal to sakti hai
kaDe hain kos bahut manzil-e-mohabbat ke
mile na chhanw magar dhup Dhal to sakti hai
hayat lau tah-e-daman-e-marg de uTThi
hawa ki rah mein ye shama jal to sakti hai
kuchh aur maslahat-e-jazb-e-ishq hai warna
kisi se chhuT ke tabiat sambhal to sakti hai
azal se soi hai taqdir-e-ishq maut ki nind
agar jagaiye karwaT badal to sakti hai
gham-e-zamana-o-soz-e-nihan ki aanch to de
agar na TuTe ye zanjir gal to sakti hai
sharik-e-sharm-o-haya kuchh hai bad-gumani-e-husn
nazar uTha ye jhijak si nikal to sakti hai
kabhi wo mil na sakegi main ye nahin kahta
wo aankh aankh mein paD kar badal to sakti hai
badalta jae gham-e-rozgar ka markaz
ye chaal gardish-e-ayyam chal to sakti hai
wo be-niyaz sahi dil mata-e-hech sahi
magar kisi ki jawani machal to sakti hai
teri nigah sahaara na de to baat hai aur
ki girte girte bhi duniya sambhal to sakti hai
ye zor-o-shor salamat teri jawani bhi
ba-qaul ishq ke sanche mein Dhal to sakti hai
suna hai barf ke TukDe hain dil hasinon ke
kuchh aanch pa ke ye chandi pighal to sakti hai
hansi hansi mein lahu thukte hain dil wale
ye sar-zamin magar lal ugal to sakti hai
jo tu ne tark-e-mohabbat ko ahl-e-dil se kaha
hazar narm ho ye baat khal to sakti hai
are wo maut ho ya zindagi mohabbat par
na kuchh sahi kaf-e-afsos mal to sakti hai
hain jis ke bal pe khaDe sarkashon ko wo dharti
agar kuchal nahin sakti nigal to sakti hai
hui hai garm lahu pi ke ishq ki talwar
yun hi jilae ja ye shaKH phal to sakti hai
guzar rahi hai dabe paon ishq ki dewi
subuk-rawi se jahan ko masal to sakti hai
hayat se nigah-e-wapsin hai kuchh manus
mere KHayal se aankhon mein pal to sakti hai
na bhulna ye hai taKHir husn ki taKHir
'firaq' aai hui maut Tal to sakti hai
(1600) Peoples Rate This