Ek Roz Hue The Kuchh Ishaaraat KHafi Se

ek roz hue the kuchh ishaaraat KHafi se

aashiq hain hum us nargis-e-rana ke jabhi se

karne ko hain dur aaj to tau ye rog hi ji se

ab rakkhenge hum pyar na tum se na kisi se

ahbab se rakhta hun kuchh ummid-e-sharafat

rahte hain KHafa mujh se bahut log isi se

kahta hun use main to KHususiyyat-e-pinhan

kuchh tum ko shikayat hai kasi se to mujhi se

ashaar nahin hain ye meri ruh ki hai pyas

jari hue sar-chashme meri tishna-labi se

aansu ko mere khel tamasha na samajhna

kaT jata hai patthar isi hire ki kani se

yaad-e-lab-e-jaanan hai charagh-e-dil-e-ranjur

raushan hai ye ghar aaj usi lal-e-yamani se

aflak ki mehrab hai aai hui angDai

be-kaif kuchh aafaq ki aaza-shikani se

kuchh zer-e-lab alfaz khanakte hain faza mein

gunji hui hai bazm teri kam-suKHani se

aaj anjuman-e-ishq nahin anjuman-e-ishq

kis darja kami bazm mein hai teri kami se

is wadi-e-viran mein hai sar-chashma-e-dil bhi

hasti meri sairab hai aankhon ki nami se

KHud mujh ko bhi ta-der KHabar ho nahin pai

aaj aai teri yaad is aahista-rawi se

wo DhunDhne nikli hai teri nikhat-e-gesu

ek rose mila tha main nasim-e-sahari se

sab kuchh wo dila de mujhe sab kuchh wo bana de

ai dost nahin dur teri kam-nigahi se

miad-e-dawam-o-abad ek nind hai us ki

hum muntahi-e-jalwa-e-jaanan hain abhi se

ek dil ke siwa pas hamare nahin kuchh bhi

jo kaam ho le lete hain hum log isi se

malum hua aur hai ek aalam-e-asrar

aaina-e-hasti ki pareshan-nazari se

is se to kahin baiTh rahe toD ke ab paon

mil jae najat ishq ko is dar-ba-dari se

rahta hun 'firaq' is liye warafta ki duniya

kuchh hosh mein aa jae meri be-KHabari se

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Roz Hue The Kuchh Ishaaraat KHafi Se In English By Famous Poet Firaq Gorakhpuri. Ek Roz Hue The Kuchh Ishaaraat KHafi Se is written by Firaq Gorakhpuri. Read famous Poem Ek Roz Hue The Kuchh Ishaaraat KHafi Se for youth and Student by Firaq Gorakhpuri. Free Download Ek Roz Hue The Kuchh Ishaaraat KHafi Se in PDF.