Daur-e-aghaz-e-jafa Dil Ka Sahaara Nikla
daur-e-aghaz-e-jafa dil ka sahaara nikla
hausla kuchh na hamara na tumhaara nikla
tera nam aate hi sakte ka tha aalam mujh par
jaane kis tarah ye mazkur dobara nikla
hosh jata hai jigar jata hai dal jata hai
parde hi parde mein kya tera ishaara nikla
hai tere kashf-o-karamat ki duniya qail
tujh se ai dil na magar kaam hamara nikla
kitne saffak sar-e-qatl-gah-e-alam the
lakhon mein bas wahi allah ka pyara nikla
ibrat-angez hai kya us ki jawan-margi bhi
hae wo dil jo hamara na tumhaara nikla
ishq ki lau se farishton ke bhi par jalte hain
rashk-e-KHurshid-e-qayamat ye sharara nikla
sar-ba-sar be-sar-o-saman jise samjhe the wo dil
rashk-e-jamshed-o-kai-o-KHusrau-o-dara nikla
aql ki lau se farishton ke bhi par jalte hain
rashk-e-KHurshid-e-qayamat ye sharara nikla
rone wale hue chup hijr ki duniya badli
shama be-nur hui subh ka tara nikla
ungliyan uTThin 'firaq'-e-watan-awara par
aaj jis samt se wo dard ka mara nikla
(950) Peoples Rate This