Bastiyan DhunDh Rahi Hain Unhen Viranon Mein
bastiyan DhunDh rahi hain unhen viranon mein
wahshaten baDh gain had se tere diwanon mein
nigah-e-naz na diwanon na farzanon mein
jaankar ek wahi hai magar an-jaanon mein
bazm-e-mai be-KHud-o-be-tab na kyun ho saqi
mauj-e-baada hai ki dard uThta hai paimanon mein
main to main chaunk uThi hai ye faza-e-KHamosh
ye sada kab ki suni aati hai phir kanon mein
sair kar ujDe dilon ki jo tabiat hai udas
ji bahal jate hain akasr inhin viranon mein
wusaten bhi hain nihan tangi-e-dil mein ghafil
ji bahal jate hain aksar inhin maidanon mein
jaan iman-e-junun silsila jumban-e-junun
kuchh kashish-ha-e-nihan jazb hain viranon mein
KHanda-e-subh-e-azal tirgi-e-sham-e-abad
donon aalam hain chhalakte hue paimanon mein
dekh jab aalam-e-hu ko to naya aalam hai
bastiyan bhi nazar aane lagin viranon mein
jis jagah baiTh gae aag laga kar uTThe
garmiyan hain kuchh abhi soKHta-samanon mein
wahshaten bhi nazar aati hain sar-e-parda-e-naz
damanon mein hai ye aalam na garebanon mein
ek rangini-e-zahir hai gulistan mein agar
ek shadabi-e-pinhan hai bayabanon mein
jauhar-e-ghuncha-o-gul mein hai ek andaz-e-junun
kuchh bayaban nazar aae hain garebanon mein
ab wo rang-e-chaman-o-KHanda-e-gul bhi na rahe
ab wo aasar-e-junun bhi nahin diwanon mein
ab wo saqi ki bhi aankhen na rahin rindon mein
ab wo saghar bhi chhalakte nahin mai-KHanon mein
ab wo ek soz-e-nihani bhi dilon mein na raha
ab wo jalwe bhi nahin ishq ke kashanon mein
ab na wo raat jab ummiden bhi kuchh thin tujh se
ab na wo baat gham-e-hijr ke afsanon mein
ab tera kaam hai bas ahl-e-wafa ka pana
ab tera nam hai bas ishq ke gham-KHanon mein
ta-ba-kai wada-e-mauhum ki tafsil 'firaq'
shab-e-furqat kahin kaTti hai in afsanon mein
(982) Peoples Rate This