Bahsen ChhiDi Hui Hain Hayat-o-mamat Ki
bahsen chhiDi hui hain hayat-o-mamat ki
sau baat ban gai hai 'firaq' ek baat ki
saz-nawa-e-dard hijabaat-e-dahr mein
kitni dukhi hui hain ragen kaenat ki
rakh li jinhon ne kashmakash-e-zindagi ki laj
be-dardiyan na puchhiye un se hayat ki
yun fart-e-be-KHudi se mohabbat mein jaan de
tujh ko bhi kuchh KHabar na ho is wardat ki
hai ishq us tabassum-e-jaan-baKHsh ka shahid
ranginiyan liye hai jo subh-e-hayat ki
chheDa hai dard-e-ishq ne tar-e-rag-e-adam
surat pakaD chali hain nawaen hayat ki
sham-e-abad ko jalwa-e-subh-e-bahaar de
rudad chheD zindagi-e-be-sabaat ki
us bazm-e-be-KHudi mein wajud-e-adam kahan
chalti nahin hai sans hayat-o-mamat ki
sau dard ek tabassum-e-pinhan mein band hain
taswir hun 'firaq' nashat-e-hayat ki
(837) Peoples Rate This