Apne Gham Ka Mujhe Kahan Gham Hai
apne gham ka mujhe kahan gham hai
ai ki teri KHushi muqaddam hai
aag mein jo paDa wo aag hua
husn-e-soz-e-nihan mujassam hai
us ke shaitan ko kahan taufiq
ishq karna gunah-e-adam hai
dil ke dhaDkon mein zor-e-zarb-e-kalim
kis qadar is habab mein dam hai
hai wahi ishq zinda-o-jawed
jise aab-e-hayat bhi sam hai
is mein Thahraw ya sukun kahan
zindagi inqalab-e-paiham hai
ek taDap mauj-e-tah-nashin ki tarah
zindagi ki bina-e-mohkam hai
rahti duniya mein ishq ki duniya
nae unwan se munazzam hai
uThne wali hai bazm mazi ki
raushni kam hai zindagi kam hai
ye bhi nazm-e-hayat hai koi
zindagi zindagi ka matam hai
ek muamma hai zindagi ai dost
ye bhi teri ada-e-mubham hai
ai mohabbat tu ek azab sahi
zindagi be tere jahannam hai
ek talatum sa rang-o-nikhat ka
paikar-e-naz mein dama-dam hai
phirne ko hai rasili nim-nigah
aahu-e-naz mail-e-ram hai
rup ke jot zer-e-pairahan
gulsitan par rida-e-shabnam hai
mere sine se lag ke so jao
palken bhaari hain raat bhi kam hai
aah ye mehrbaniyan teri
shadmani ki aankh pur-nam hai
narm o doshiza kis qadr hai nigah
har nazar dastan-e-maryam hai
mehr-o-mah shola-ha-e-saz-e-jamal
jis ki jhankar itni maddham hai
jaise uchhle junun ki pahli sham
is ada se wo zulf barham hai
yun bhi dil mein nahin wo pahli umang
aur teri nigah bhi kam hai
aur kyun chheDti hai gardish-e-charKH
wo nazar phir gai ye kya kam hai
ru-kash-e-sad-harim-e-dil hai faza
wo jahan hain ajib aalam hai
diye jati hai lau sada-e-'firaq'
han wahi soz-o-saz kam kam hai
(1083) Peoples Rate This