Aaj Bhi Qafila-e-ishq Rawan Hai Ki Jo Tha
aaj bhi qafila-e-ishq rawan hai ki jo tha
wahi mil aur wahi sang-e-nishan hai ki jo tha
phir tera gham wahi ruswa-e-jahan hai ki jo tha
phir fasana ba-hadis-e-digran hai ki jo tha
manzilen gard ke manind uDi jati hain
wahi andaz-e-jahan-e-guzaran hai ki jo tha
zulmat o nur mein kuchh bhi na mohabbat ko mila
aaj tak ek dhundalke ka saman hai ki jo tha
yun to is daur mein be-kaif si hai bazm-e-hayat
ek hangama sar-e-ritl-e-giran hai ki jo tha
lakh kar jaur-o-sitam lakh kar ehsan-o-karam
tujh pe ai dost wahi wahm-o-guman hai ki jo tha
aaj phir ishq do-alam se juda hota hai
aastinon mein liye kaun-o-makan hai ki jo tha
ishq afsurda nahin aaj bhi afsurda bahut
wahi kam kam asr-e-soz-e-nihan hai ki jo tha
nazar aa jate hain tum ko to bahut nazuk baal
dil mera kya wahi ai shisha-giran hai ki jo tha
jaan de baiThe the ek bar hawas wale bhi
phir wahi marhala-e-sud-o-ziyan hai ki jo tha
aaj bhi said-gah-e-ishq mein husan-e-saffak
liye abru ki lachakti si kaman hai ki jo tha
phir teri chashm-e-suKHan-sanj ne chheDi koi baat
wahi jadu hai wahi husn-e-bayan hai ki jo tha
raat bhar husn par aae bhi gae sau sau rang
sham se ishq abhi tak nigaran hai ki jo tha
jo bhi kar jaur-o-sitam jo bhi kar ehsan-o-karam
tujh pe ai dost wahi wahm-o-guman hai ki jo tha
aankh jhapki ki idhar KHatm hua roz-e-visal
phir bhi is din pe qayamat ka guman hai ki jo tha
qurb hi kam hai na duri hi ziyaada lekin
aaj wo rabt ka ehsas kahan hai ki jo tha
tira-baKHti nahin jati dil-e-sozan ki 'firaq'
shama ke sar pe wahi aaj dhuan hai ki jo tha
(1578) Peoples Rate This