Tum Harim-e-naz Mein BaiThe Ho Begane Bane
tum harim-e-naz mein baiThe ho begane bane
justuju mein ahl-e-dil phirte hain diwane bane
sab ko saqi ne nahin baKHsha dil-e-dard-ashna
jitne ahl-e-zarf the utne hi paimane bane
jalwa-e-husn aur soz-e-ishq donon ek hain
shama ki lau thartharane hi se parwane bane
mauj-e-tufan-KHez uTh kar chhin le sahil ki aas
naKHuda ke aate aate kya KHuda jaane bane
dam-ba-KHud hai tere aage e'tibar-e-aql-o-hosh
hosh wale jab baDhe had se to diwane bane
dekh le zahid meri raushan-zamiri ki numud
ek aaine se kitne aaina-KHane bane
ai 'figar' afsana-e-dair-o-haram ka zikr kya
is haqiqat ke na jaane kitne afsane bane
(1226) Peoples Rate This