Shohrat-e-tarz-e-fughan Aam Hui Jati Hai

shohrat-e-tarz-e-fughan aam hui jati hai

koshish-e-zabt bhi nakaam hui jati hai

mast hain aur talab-e-jam hui jati hai

be-KHudi hosh ka paigham hui jati hai

muskuraata hai hasin parda-e-gulshan mein koi

aur kali muft mein badnam hui jati hai

qaid mein bhi hai asiron ka wahi josh-e-amal

mashq-e-parwaz tah-e-dam hui jati hai

toD kar dil nigah-e-mast na pher ai saqi

bazm ki bazm hi be-jam hui jati hai

lab jo khole to gulistan mein kali kaun kahe

chup bhi rahti hai to badnam hui jati hai

mujh ko le jaegi manzil pe meri subh-e-yaqin

lakh raste mein mujhe sham hui jati hai

nawak-andazi-e-jaanan ka asar hai ki 'figar'

ek duniya meri hamnam hui jati hai

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shohrat-e-tarz-e-fughan Aam Hui Jati Hai In English By Famous Poet Figar Unnavi. Shohrat-e-tarz-e-fughan Aam Hui Jati Hai is written by Figar Unnavi. Read famous Poem Shohrat-e-tarz-e-fughan Aam Hui Jati Hai for youth and Student by Figar Unnavi. Free Download Shohrat-e-tarz-e-fughan Aam Hui Jati Hai in PDF.