Kuchh Kaam To Aaya Dil-e-nakaam Hamara
kuchh kaam to aaya dil-e-nakaam hamara
TuTa hai to TuTa hi sahi jam hamara
jitna ise samjha kiye begana-e-tasir
itna to na tha jazba-e-dil KHam hamara
ye kaun maqam aaya qadam uThte nahin hain
manzil pe Thaharna to na tha kaam hamara
hum jaise taDapte hain taDapte rahe din raat
kuchh kar na saki gardish-e-ayyam hamara
ye gardish-e-paimana hai ya gardish-e-taqdir
saqi kisi saghar pe to ho nam hamara
phulon ki hansi bais-e-taKHrib-e-chaman hai
kanTon pe nahin hai koi ilzam hamara
hum gardish-e-saghar ko nigahon mein liye hain
dekhe koi husn-e-talab-e-jam hamara
aaghaz-e-mohabbat hi ka eajaz-e-karam hai
dil ho gaya begana-e-anjam hamara
andaz taDapne ka judagana hai lekin
hai koi 'figar' aur bhi hamnam hamara
(853) Peoples Rate This