Kisi Apne Se Hoti Hai Na Begane Se Hoti Hai
kisi apne se hoti hai na begane se hoti hai
jo ulfat ek diwane ko diwane se hoti hai
subu se jam se mina se paimane se hoti hai
mohabbat mai se ho kar sare mai-KHane se hoti hai
koi qissa ho koi waqia koi hikayat ho
tasalli dil ko dard-e-dil ke afsane se hoti hai
meri tauba se kah do wo bhi aa kar shauq se sun le
ajab aawaz paida dal ke paimane se hoti hai
nazar se chhupne wale dil se aaKHir kyun nahin chhupte
ye kaisi be-hijabi aaina-KHane se hoti hai
bahaar-e-chand-roza se koi mange to kya mange
KHizan ko bhi nadamat hath phailane se hoti hai
ghaTaen gham ki chhaT jati hain un ke muskurane se
ki jaise subh paida raat Dhal jaane se hoti hai
'figar' ehsas-e-dil mein har taraf kanTe hi kanTe hain
yahi taskin gulshan mein bahaar aane se hoti hai
(813) Peoples Rate This