Jurat-e-ishq Hawas-kar Hui Jati Hai
jurat-e-ishq hawas-kar hui jati hai
be-piye tauba gunahgar hui jati hai
dil hai afsurda to be-rang hai har rang-e-bahaar
bu-e-gul bhi KHalish-e-KHar hui jati hai
bawajude-ki junun par hain KHirad ke pahre
phir bhi zanjir ki jhankar hui jati hai
har nafas mauj-e-fana tere thapeDon ke tufail
kashti-e-umr-e-rawan par hui jati hai
jo namaz aaj sar-e-dar ada ki main ne
sajda-e-shukr ka mear hui jati hai
jitni aasaniyan hoti hain faraham din raat
zindagi utni hi dushwar hui jati hai
jab se dekha hai kisi ke ruKH-e-raushan ko 'figar'
aankh har jalwe se bezar hui jati hai
(844) Peoples Rate This