Jafa-e-yar Ko Hum Lutf-e-yar Kahte Hain
jafa-e-yar ko hum lutf-e-yar kahte hain
KHizan ko apni zaban mein bahaar kahte hain
wo ek sunte nahin hum hazar kahte hain
magar fasana bahar-e'tibar kahte hain
zamana qaid ko samjhe hue hai aazadi
kisi ke jabr ko hum iKHtiyar kahte hain
qafas mein rah ke mujhe ye bhi imtiyaz nahin
kise KHizan kise fasl-e-bahaar kahte hain
nafas nafas jo payam-e-hayat deti hai
usi nazar ko taghaful-shiar kahte hain
tumhaare husn ki jis dil ko raushni na mile
hum aise dil ko charagh-e-mazar kahte hain
teri nigah-e-taghaful se dil ne paya hai
wo ek kaif jise intizar kahte hain
mohabbat aur mohabbat mein aarzu-e-visal
hum is bahaar ko nang-e-bahaar kahte hain
KHadang-e-naz abhi hai tumhaari chuTki mein
na jaane log mujhe kyun 'figar' kahte hain
(831) Peoples Rate This