Hasil-e-zabt-e-fughan Nakaam Hai
hasil-e-zabt-e-fughan nakaam hai
ab to KHamoshi pe bhi ilzam hai
koi aawaz-e-shikast-e-jam hai
tauba tauba har taraf kohram hai
ye bhi faiz-e-gardish-e-ayyam hai
subh hai apni na apni sham hai
dil hua tark-o-talab se be-niyaz
ab yahan aaram hi aaram hai
bahr-e-tufan-KHez ka sahil kahan
ishq ka aaghaz be-anjam hai
ranj koi shai na koi shai KHushi
muKHtalif ehsas ka ek nam hai
phir kisi ne aane ka wada kiya
subh se phir intizar-e-sham hai
shaeron mein yun to apna bhi 'figar'
nam hai lekin barae nam hai
(849) Peoples Rate This