Chaman Apne Rang Mein Mast Hai Koi Gham-gusar-e-digar Nahin
chaman apne rang mein mast hai koi gham-gusar-e-digar nahin
ki hai shabnam ashk-fishan magar gul-e-tar ko koi KHabar nahin
gham-e-zindagi ka ilaj to kabhi maut se bhi na ho saka
ye wo saKHt qaid-e-hayat hai kisi tarah jis se mafar nahin
mere pas jo bhi tha luT gaya na wo main raha na wo dil raha
kisi aur shai ka to zikr kya ki ab aah mein bhi asar nahin
ye tasawwuraat ki wusaten ye taKHaiyyulat ki rifaten
wahan jalwe dekh raha hun main jahan iKHtiyar-e-nazar nahin
tere husn ka ye kamal hai ki KHud aap apni misal hai
wo jamal hi to jamal hai jo kisi ka aks-e-nazar nahin
jo hain be-amal wo hain ba-amal jo hain be-hunar wo hain ba-hunar
ajab inqilab-e-zamana hai kahin qadr-e-ahl-e-hunar nahin
mujhe ai 'figar' na mil saka koi lamha subh-e-nashat ka
meri zindagi hai wo sham-e-gham ki jo rushanas-e-sahar nahin
(761) Peoples Rate This