KHarab-haal Hun Har Haal Mein KHarab Raha
KHarab-haal hun har haal mein KHarab raha
KHushi mein bhi gham-e-dil ka sa iztirab raha
nazara-e-ruKH-e-zeba ki yan kise fursat
naqab ruKH pe rahi ya wo be-naqab raha
tarab ki bazm mein ja kar karega kya koi
na wo piyala na wo mai na wo shabab raha
nawa-e-shauq nikalti hai ab bhi dil se magar
na wo upaj na wo mahfil na wo rabab raha
har ek chiz ki duniya mein had muqarrar hai
magar ye ranj zamana ka be-hisab raha
KHayal-o-KHwab masarrat ki ek tawaqqoa par
tamam-umr mujhe intizar-e-KHwab raha
(1300) Peoples Rate This