Ek Nazm
aasman sar par ugane mein mera hissa nahin hai
ye zamin bhi kal talak jis gae ke singon Tiki thi
wo meri koi nahin thi
aur ab jis be-badan nange KHala mein tairti hai
wo KHala bhi main nahin hun
har taraf phaili hui be-rang chehra zindagi ko
main bhala kya Dhaalta
gosht ka jo lothDa likkha hai mere nam
wo bhi aur ka Dhaala hua hai
wo purane din bhale the jab sabhi kuchh chal raha tha
nam is ka kaam us ka
wo magar mere ujale baDe se ghaar mein ghaarat hua hai
an-ginat ilzam kilon mein Tanga mera badan
qatra qatra chiKHta hai
aur sannaTa mazon mein gungunata phir raha hai
(714) Peoples Rate This