Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1219cc70dccc0ba2fd4c752bb87ecbe8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Use Malum Hai Main Sar-phira Hun - Fazl Tabish Poetry In English - Darsaal

Use Malum Hai Main Sar-phira Hun

use malum hai main sar-phira hun

magar KHush hai ki us ko chahta hun

ye basti kab darindon se thi KHali

main phir bhi Thik logon mein raha hun

jo chahe wo mujhe be-dam le le

KHaridaron ke hathon kam bika hun

teri chahat bahana hai yaqin kar

ba-har surat main KHud ko chahta hun

zara sun be-niyaz-e-lams sun le

main tujh ko chhu ke KHud ko bhulta hun

kahan toDa hai main ne shaKH se gul

main shaKH-e-gul pe gul ko manta hun

(835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Use Malum Hai Main Sar-phira Hun In English By Famous Poet Fazl Tabish. Use Malum Hai Main Sar-phira Hun is written by Fazl Tabish. Read famous Poem Use Malum Hai Main Sar-phira Hun for youth and Student by Fazl Tabish. Free Download Use Malum Hai Main Sar-phira Hun in PDF.