Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0cc64fa726126c7df651d88f8ebe7d30, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Raaton Ke KHauf Din Ki Udasi Ne Kya Diya - Fazl Tabish Poetry In English - Darsaal

Raaton Ke KHauf Din Ki Udasi Ne Kya Diya

raaton ke KHauf din ki udasi ne kya diya

sae ke taur leT ke chalna sikha diya

kamre mein aa ke baiTh gai dhup mez par

bachchon ne khilkhila ke mujhe bhi jaga diya

wo kal sharab pi ke bhi sanjida hi raha

is ehtiyat ne use mujh se chhuDa diya

jab koi bhi utar na saka mere jism mein

sab haal main ne sirf usi ko suna diya

apna lahu nichoD ke dekhunga ek din

jine ke zahar ne use kya kuchh bana diya

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raaton Ke KHauf Din Ki Udasi Ne Kya Diya In English By Famous Poet Fazl Tabish. Raaton Ke KHauf Din Ki Udasi Ne Kya Diya is written by Fazl Tabish. Read famous Poem Raaton Ke KHauf Din Ki Udasi Ne Kya Diya for youth and Student by Fazl Tabish. Free Download Raaton Ke KHauf Din Ki Udasi Ne Kya Diya in PDF.