Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7359c055c7218d27fe296028a811b2e3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Uske KHwab Mein Kab Ja Ke Dekh Paya Hun - Fazl Tabish Poetry In English - Darsaal

Main Uske KHwab Mein Kab Ja Ke Dekh Paya Hun

main us ke KHwab mein kab ja ke dekh paya hun

hai aur koi wahan par ki main hi tanha hun

tumhein KHabar hai gharondon se khelte bachcho

main tum mein apna gaya waqt dekh leta hun

tum us kinare khaDe ho bula rahe ho mujhe

yaqin karo ki main us or se hi aaya hun

wo apne ganw se kal hi to shahr aaya hai

wo baat baat pe hansta hai main larazta hun

wo kah rahe hain riwayat ka ehtiram karo

main apni nash ki badbu se bhaga phirta hun

rawayatan main use chand kah to dun 'tabish'

kahin wo ye na samajh le ki main banata hun

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Uske KHwab Mein Kab Ja Ke Dekh Paya Hun In English By Famous Poet Fazl Tabish. Main Uske KHwab Mein Kab Ja Ke Dekh Paya Hun is written by Fazl Tabish. Read famous Poem Main Uske KHwab Mein Kab Ja Ke Dekh Paya Hun for youth and Student by Fazl Tabish. Free Download Main Uske KHwab Mein Kab Ja Ke Dekh Paya Hun in PDF.