Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_145297e289a319f94f84d2a2e8db7e83, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kali Kali Ka Badan PhoD Kar Jo Nikla Hai - Fazl Tabish Poetry In English - Darsaal

Kali Kali Ka Badan PhoD Kar Jo Nikla Hai

kali kali ka badan phoD kar jo nikla hai

wo zindagi ka nahin maut ka taqaza hai

har ek jhuTa payambar hai ye bhi Thik nahin

kahin kahin to magar sab ke sath ghapla hai

main us ka barf badan raundh kar pasheman hun

magar jo dur khaDe hain unhen wo shoala hai

jo thukta hai har ek chiz ko andhere se

kabhi kabhi wahi din mujh mein Dub jata hai

har ek samt ghalazat bhare samundar hain

magar ye main ne kinare khaDe hi samjha hai

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kali Kali Ka Badan PhoD Kar Jo Nikla Hai In English By Famous Poet Fazl Tabish. Kali Kali Ka Badan PhoD Kar Jo Nikla Hai is written by Fazl Tabish. Read famous Poem Kali Kali Ka Badan PhoD Kar Jo Nikla Hai for youth and Student by Fazl Tabish. Free Download Kali Kali Ka Badan PhoD Kar Jo Nikla Hai in PDF.