Zindagi Saz-e-shikasta Ki Fughan Hi To Nahin
zindagi saz-e-shikasta ki fughan hi to nahin
zamzama-sanj bhi hai marsiyan-KHwan hi to nahin
ishq se baz hum aate jo guzarta wo garan
lutf to ye hai tabiat pe garan hi to nahin
dil bura kijiye kis tarah bhala phir us se
rahat-e-jaan bhi to hai aafat-e-jaan hi to nahin
aisi yaaden bhi hain sau zindagiyan jin pe nisar
hasil-e-zist gham-e-umr-e-rawan hi to nahin
hum samajhte hain jo apne ko baDa ahl-e-nazar
ye bhi faiz-e-nazar-e-KHush-nazran hi to nahin
qafile mein hain bahut rahrawan bhi to sharik
rahbaran hi to nahin rah-zanan hi to nahin
hai bahut naz tujhe zabt-e-fughan par 'fazli'
ye KHamoshi bhi kahin tarz-e-fughan hi to nahin
(770) Peoples Rate This