Tumhin Ek Nahin Jaan-setan Aur Bhi Hain
tumhin ek nahin jaan-setan aur bhi hain
bahut hadsat-e-jahan aur bhi hain
hasin aur bhi hain jawan aur bhi hain
ghazalan-e-abru-kaman aur bhi hain
sabhi ko mohabbat mein hote hain sadme
abhi kya abhi imtihan aur bhi hain
chalo dhum se jashn-e-matam manaen
hamein ek nahin nauha-KHwan aur bhi hain
nahin KHatm kuchh aasman par KHudai
mere haal par mehrban aur bhi hain
naqab us ne ruKH se uThai to lekin
hijabaat kuchh darmiyan aur bhi hain
fareb-e-karam ek to un ka hai is par
sitam meri KHush-fahmiyan aur bhi hain
wafa un se apni jatane gae the
magar ab to wo bad-guman aur bhi hain
nahin sabr hi ki kami tujh mein 'fazli'
meri jaan kuchh KHamiyan aur bhi hain
(863) Peoples Rate This