Tamir-e-nau Qaza-o-qadar Ki Nazar Mein Hai
tamir-e-nau qaza-o-qadar ki nazar mein hai
aaj ek zalzala sa har ek baam-o-dar mein hai
kitne charagh umid ke jal jal ke bujh gae
kya jaane kitni der tulu-e-sahar mein hai
har ek hai su-e-manzil-e-jaanan rawan-dawan
har zarra kaenat ka paiham safar mein hai
gum-karda rah ho ke bhi un se hue na dur
gum-gashtagi bhi hai to usi rahguzar mein hai
aai kahan se dair-o-haram mein ye raushni
meri jabin ka nur mere sang-e-dar mein hai
guzri rawish rawish mein jalati hui charagh
shan-e-KHiram-e-yar nasim-e-sahar mein hai
tum jo nahin to ghar mein wo ab baat hi nahin
diwar-o-dar ki baat to diwar-o-dar mein hai
dil bhi dhaDak raha hai nigahen bhi dar pe hain
ek KHas lutf wada-e-na-mo'tabar mein hai
Dar hai kahin mujhi ko ye pahle Dubo na de
tufan-e-iltija jo meri chashm-e-tar mein hai
sahil tak aai mauj ye kah kar palaT gai
jine ka lutf zindagi-e-pur-KHatar mein hai
KHanjar-ba-kaf hai ye to wo KHanjar-dar-astin
itna sa farq rahzan o rahbar mein hai
aai jigar-figar hawadis ke faiz se
shoKHi jo in dinon mere KHun-e-jigar mein hai
ahl-e-hunar ke dil mein dhaDakte hain sab ke dil
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
ifsha-e-raaz-e-dil to baDa aib hai magar
ho gar adab ke sath to daKHil hunar mein hai
aankhon mein be-hunar ki khaTakta hai ban ke aib
ye ek ajib baat kamal-e-hunar mein hai
hota hai bazm-e-ghair mein bhi ab jo zikr-e-KHair
koi to baat 'fazli'-e-ashufta-sar mein hai
(947) Peoples Rate This