Kuchh To Mujhe Mahbub Tera Gham Bhi Bahut Hai
kuchh to mujhe mahbub tera gham bhi bahut hai
kuchh teri tawajjoh ki nazar kam bhi bahut hai
ashkon se bhi khulta hai wo dil jo hai girafta
kaliyon ke liye qatra-e-shabnam bhi bahut hai
hum KHud hi nahin chahte sayyaad se bachna
sazish nigah-o-dil ki munazzam bhi bahut hai
hai rishta-e-duzdida-nigahi bhi ajab shai
qaem ye hawa par bhi hai mohkam bhi bahut hai
Dhae dil-e-nazuk pe bahut us ne sitam bhi
phir lutf ye hai mujh pe wo barham bhi bahut hai
ye turfa-tamasha hai kiya qatl bhi mujh ko
aur phir mere marne ka unhen gham bhi bahut hai
paDte hain sitamgar ke zara war bhi ochhe
aur 'fazli'-e-bismil mein zara dam bhi bahut hai
(852) Peoples Rate This