Ghamon Se Khelte Rahna Koi Hansi Bhi Nahin
ghamon se khelte rahna koi hansi bhi nahin
na ho ye khel to phir lutf-e-zindagi bhi nahin
nahin ki dil mein tamanna mere koi bhi nahin
magar ye baat kuchh aisi ki guftani bhi nahin
abhi main kya uThun niyyat abhi bhari bhi nahin
sitam ye aur ki mai ki abhi kami bhi nahin
adaen un ki sunati hain mujh ko meri ghazal
ghazal bhi wo ki jo main ne abhi kahi bhi nahin
huzur-e-dost mere gu-magu ke aalam ne
kaha bhi un se jo kahna tha baat ki bhi nahin
hamare un ke talluq ka ab ye aalam hai
ki dosti ka hai kya zikr dushmani bhi nahin
kaha jo tark-e-mohabbat ko shaiKH ne khulla
farishta to nahin lekin ye aadmi bhi nahin
(937) Peoples Rate This