Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cf45a9d4948500558b11a0b04c261720, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Wo Mahki Hui Si Raat Nahin - Fazl Ahmad Kariim Fazli Poetry In English - Darsaal

Ab Wo Mahki Hui Si Raat Nahin

ab wo mahki hui si raat nahin

baat kya hai ki ab wo baat nahin

phir wahi jagna hai din ki tarah

raat hai aur jaise raat nahin

baat apni tumhein na yaad rahi

KHair jaane do koi baat nahin

kuchh nahin hai to yaad hai un ki

un se tark-e-talluqat nahin

phir bhi dil ko baDi umiden hain

go ba-zahir tawaqquat nahin

ishq hota hai KHud-ba-KHud paida

ishq ke kuchh lawazimat nahin

aise 'fazli' ke sher kam honge

jin mein kuchh dil ki wardat nahin

(765) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ab Wo Mahki Hui Si Raat Nahin In English By Famous Poet Fazl Ahmad Kariim Fazli. Ab Wo Mahki Hui Si Raat Nahin is written by Fazl Ahmad Kariim Fazli. Read famous Poem Ab Wo Mahki Hui Si Raat Nahin for youth and Student by Fazl Ahmad Kariim Fazli. Free Download Ab Wo Mahki Hui Si Raat Nahin in PDF.