DaraKHton Ke Liye
ai daraKHto! tumhein jab kaT diya jaega
aur tum sukh ke lakDi mein badal jaoge
aise aalam mein bahut paishkashen hongi tumhein
tum magar apni riwayat se na phirna hargiz
shah ki kursi mein Dhalne se kahin behtar hai
kisi foot-path ke hotel ka wo TuTa hua taKHta banna
maile kapDon mein sahi log mohabbat se jahan baiThte hain
kisi banduq ka dasta bhi nahin hona tumhein
chaqu chhuriyon ko bhi KHidmat na apni dena
aise darwaze ki chaukhaT bhi na banna hargiz
jo mohabbat-bhari dastak pe kabhi khul na sake
ai daraKHto! tumhein jab kaT diya jaega
aur tum sukh ke lakDi mein badal jaoge
koi baisakhi banae to sahaara dena
aur kashti ke liye itni mohabbat se tum aage baDhna
ki samundar ki faraKHi bhi bahut kam paD jae
apne patwar mere bazuon jaise rakhna
jo kisi aur ki taqat ke siwa zinda hain
meri duniya ki abhi waqif-e-ulfat hi nahin
mere bazu bhi mohabbat ke siwa zinda hain
(1155) Peoples Rate This